sazishon ki bhiD thi chehra chhupa kar chal diye
sāzishoñ kī bhiiḌ thī chehra chhupā kar chal diye
nafratoñ kī aag se dāman bachā kar chal diye
nā-mukammal dāstāñ dil meñ simaT kar rah ga.ī
vo zamāne kī ka.ī bāteñ sunā kar chal diye
zikr merā guftugū meñ jab kabhī bhī aa gayā
muskurā.e aur phir nazreñ jhukā kar chal diye
manzil-e-dīvāngī hāsil huī yūñhī nahīñ
kyā batā.eñ pyaar meñ kyā kyā gañvā kar chal diye
vaqt se pahle baḌā hone kā ye hāsil huā
tishnagī meñ ham samundar ko uThā kar chal diye
rang kaalā paḌ gayā hai marmarī taqdīr kā
muflisī kī dhuup meñ armāñ jalā kar chal diye
sazishon ki bhiD thi chehra chhupa kar chal diye
nafraton ki aag se daman bacha kar chal diye
na-mukammal dastan dil mein simaT kar rah gai
wo zamane ki kai baaten suna kar chal diye
zikr mera guftugu mein jab kabhi bhi aa gaya
muskurae aur phir nazren jhuka kar chal diye
manzil-e-diwangi hasil hui yunhi nahin
kya bataen pyar mein kya kya ganwa kar chal diye
waqt se pahle baDa hone ka ye hasil hua
tishnagi mein hum samundar ko uTha kar chal diye
rang kala paD gaya hai marmari taqdir ka
muflisi ki dhup mein arman jala kar chal diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.