sab aag zahiri thi dilon mein lagi na thi
sab aag zāhirī thī diloñ meñ lagī na thī
mujh ko bhī kab junūñ thā agar vo parī na thī
hasrat malāl dard taḌap ḳhvāb aarzū
ik kārvāñ thā saath mire bas vahī na thī
vo dasht-e-intishār meñ aisā ġhazāl thā
naafā se jis ke mushk abhī tak uḌī na thī
phir ye huā ki donoñ judā ho ga.e magar
us ko bhī thā malāl mujhe bhī ḳhushī na thī
sochā to ek abr kā TukḌā baras gayā
dekhā to dūr-dūr havā meñ namī na thī
duniyā to dostī pe razā-mand thī 'ziyā'
par kyā kareñ ki ḳhud se mirī dushmanī na thī
sab aag zahiri thi dilon mein lagi na thi
mujh ko bhi kab junun tha agar wo pari na thi
hasrat malal dard taDap KHwab aarzu
ek karwan tha sath mere bas wahi na thi
wo dasht-e-intishaar mein aisa ghazal tha
nafa se jis ke mushk abhi tak uDi na thi
phir ye hua ki donon juda ho gae magar
us ko bhi tha malal mujhe bhi KHushi na thi
socha to ek abr ka TukDa baras gaya
dekha to dur-dur hawa mein nami na thi
duniya to dosti pe raza-mand thi 'ziya'
par kya karen ki KHud se meri dushmani na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.