sab faisle KHilaf hamare gae to kya
sab faisle ḳhilāf hamāre ga.e to kyā
ham be-gunāh jaan se maare ga.e to kyā
ye kam nahīñ ki yaad hī rakkhā gayā hameñ
mahfil meñ sab ke baa'd pukāre ga.e to kyā
paanī tamām sahn kā jab pī ga.ī zamīn
kāġhaz ke ab safīne utāre ga.e to kyā
tum bevafā ho kaun yahāñ jāntā nahīñ
tum bevafā na kah ke pukāre ga.e to kyā
raunaq na kam huī kabhī us bazm-e-nāz kī
kuchh kahkashāñ se Tuut ke taare ga.e to kyā
ḳhatre meñ aaj bhī hai yaqīñ kā mire vajūd
kuchh saañp āstīn ke maare ga.e to kyā
jannat nahīñ milī hai yahī jānte haiñ ham
jannat ke sāmne se guzāre ga.e to kyā
maiñ bhī shikār-e-‘ishq hī ke sānehe meñ huuñ
is hādse meñ aap bhī maare ga.e to kyā
sab faisle KHilaf hamare gae to kya
hum be-gunah jaan se mare gae to kya
ye kam nahin ki yaad hi rakkha gaya hamein
mahfil mein sab ke ba'd pukare gae to kya
pani tamam sahn ka jab pi gai zamin
kaghaz ke ab safine utare gae to kya
tum bewafa ho kaun yahan jaanta nahin
tum bewafa na kah ke pukare gae to kya
raunaq na kam hui kabhi us bazm-e-naz ki
kuchh kahkashan se Tut ke tare gae to kya
KHatre mein aaj bhi hai yaqin ka mere wajud
kuchh sanp aastin ke mare gae to kya
jannat nahin mili hai yahi jaante hain hum
jannat ke samne se guzare gae to kya
main bhi shikar-e-‘ishq hi ke sanehe mein hun
is hadse mein aap bhi mare gae to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.