sab haarta raha hun main ye aur baat hai
sab hārtā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai
par muskurā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai
ḳhud.dār huuñ kisī se madad māñgtā nahīñ
tujh ko bulā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai
haiñ kaun is jahāñ meñ mire vāste magar
sab se nibhā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai
marne kī mashq ek taraf jaarī hai magar
duniyā sajā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai
dushman jo bhī mile the hunar-mand sab ke sab
sab ko harā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai
itne hare haiñ zaḳhm kī ronā muhāl hai
ḳhushbū luTā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai
us se koī bhī rabt nahīñ par usī kī ik
tasvīr chūmtā huuñ maiñ ye aur baat hai
sab haarta raha hun main ye aur baat hai
par muskura raha hun main ye aur baat hai
KHuddar hun kisi se madad mangta nahin
tujh ko bula raha hun main ye aur baat hai
hain kaun is jahan mein mere waste magar
sab se nibha raha hun main ye aur baat hai
marne ki mashq ek taraf jari hai magar
duniya saja raha hun main ye aur baat hai
dushman jo bhi mile the hunar-mand sab ke sab
sab ko hara raha hun main ye aur baat hai
itne hare hain zaKHm ki rona muhaal hai
KHushbu luTa raha hun main ye aur baat hai
us se koi bhi rabt nahin par usi ki ek
taswir chumta hun main ye aur baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.