sab hai hasil magar KHushi to nahin
sab hai hāsil magar ḳhushī to nahīñ
saañs lenā hī zindagī to nahīñ
log patthar uThā rahe haiñ kyoñ
dil kī bastī abhī basī to nahīñ
is meñ hotā hai ḳhūn-e-dil aksar
ziist karnā koī hañsī to nahīñ
pattharoñ pe khuleñge lāla-o-gul
log kahte haiñ dil-lagī to nahīñ
maiñ ne sab ko diyā hai ā.īna
aap se koī dushmanī to nahīñ
jis se patthar kā dil na ho do niim
vo nazar rashk-e-āgahī to nahīñ
garmī-e-dil na jis meñ ho 'ahmad'
hai vo kuchh aur shā.erī to nahīñ
sab hai hasil magar KHushi to nahin
sans lena hi zindagi to nahin
log patthar uTha rahe hain kyon
dil ki basti abhi basi to nahin
is mein hota hai KHun-e-dil aksar
zist karna koi hansi to nahin
pattharon pe khulenge lala-o-gul
log kahte hain dil-lagi to nahin
main ne sab ko diya hai aaina
aap se koi dushmani to nahin
jis se patthar ka dil na ho do nim
wo nazar rashk-e-agahi to nahin
garmi-e-dil na jis mein ho 'ahmad'
hai wo kuchh aur shaeri to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.