sab hain masruf KHun pine mein
sab haiñ masrūf ḳhuun piine meñ
kaun jhāñke kisī ke siine meñ
lahreñ ādāb kar ke uThtī haiñ
kaun baiThā hai is safīne meñ
'mīr' ke she'r tak nahīñ Tikte
vo ḳhalā hai hamāre siine meñ
aañkh meñ ab nazar nahīñ baaqī
dil nahīñ hai kisī ke siine meñ
āñsuoñ se lahū nadārad aur
ḳhuun shāmil nahīñ pasīne meñ
yahī mausam hai aao mar jaa.eñ
phuul khilte haiñ is mahīne meñ
maut āvāz dene lagtī hai
jī lagātā huuñ jab bhī jiine meñ
sab hain masruf KHun pine mein
kaun jhanke kisi ke sine mein
lahren aadab kar ke uThti hain
kaun baiTha hai is safine mein
'mir' ke she'r tak nahin Tikte
wo KHala hai hamare sine mein
aankh mein ab nazar nahin baqi
dil nahin hai kisi ke sine mein
aansuon se lahu nadarad aur
KHun shamil nahin pasine mein
yahi mausam hai aao mar jaen
phul khilte hain is mahine mein
maut aawaz dene lagti hai
ji lagata hun jab bhi jine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.