sab hasinon se ghalat-fahmi ka tufan nikla
sab hasīnoñ se ġhalat-fahmī kā tūfāñ niklā
vo sar-e-bazm-e-nigārāñ jo numāyāñ niklā
mere ash'ār ko me'yār kā e'zāz milā
jān-e-jāñ merā suḳhan-fahm-o-suḳhan-dāñ niklā
muta'ajjib hue sab ahl-e-yaqīn-o-īmāñ
jis ko kāfir kahā jaatā thā musalmāñ niklā
le liyā jhuum ke āġhosh meñ rahmat ne use
munfa'il ho ke jo motī sar-e-mizhgāñ niklā
lazzat-e-dard se mahrūm vo ho jā.egā
dil se 'āshiq ke agar lutf kā paikāñ niklā
jaan kī ḳhair hai us kī na salāmat zar-o-māl
haif jamhūr meñ insān hī arzāñ niklā
sab hasinon se ghalat-fahmi ka tufan nikla
wo sar-e-bazm-e-nigaran jo numayan nikla
mere ash'ar ko me'yar ka e'zaz mila
jaan-e-jaan mera suKHan-fahm-o-suKHan-dan nikla
muta'ajjib hue sab ahl-e-yaqin-o-iman
jis ko kafir kaha jata tha musalman nikla
le liya jhum ke aaghosh mein rahmat ne use
munfa'il ho ke jo moti sar-e-mizhgan nikla
lazzat-e-dard se mahrum wo ho jaega
dil se 'ashiq ke agar lutf ka paikan nikla
jaan ki KHair hai us ki na salamat zar-o-mal
haif jamhur mein insan hi arzan nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.