sab isko usko rote hain apni wafa ko main
sab is ko us ko rote haiñ apnī vafā ko maiñ
har baar bhuul jaatī huuñ us kī ḳhatā ko maiñ
dil meñ 'ajīb hotī hai ḳhvāhish kabhī kabhī
bikhrā duuñ us ke shānoñ pe kaalī ghaTā ko maiñ
is dil ke ābgīne ko toḌe na phir koī
dānista yaad kartī huuñ us bevafā ko maiñ
khātī hai vo shikast mire hausle se roz
detī huuñ muskurā ke jo dā'vat qazā ko maiñ
merī samā'atoñ se jo Takrātī thī kabhī
bhūlī nahīñ huuñ aaj talak us sadā ko maiñ
tūfāñ meñ Duub jaatī haiñ kitnī hī kashtiyāñ
kaise ḳhudā banā duuñ kisī nāḳhudā ko maiñ
'farzāna' jis kā naam hai vahshat ke shahr meñ
dil se salām kartī huuñ us shā’era ko maiñ
sab is ko us ko rote hain apni wafa ko main
har bar bhul jati hun us ki KHata ko main
dil mein 'ajib hoti hai KHwahish kabhi kabhi
bikhra dun us ke shanon pe kali ghaTa ko main
is dil ke aabgine ko toDe na phir koi
danista yaad karti hun us bewafa ko main
khati hai wo shikast mere hausle se roz
deti hun muskura ke jo da'wat qaza ko main
meri sama'aton se jo Takraati thi kabhi
bhuli nahin hun aaj talak us sada ko main
tufan mein Dub jati hain kitni hi kashtiyan
kaise KHuda bana dun kisi naKHuda ko main
'farzana' jis ka nam hai wahshat ke shahr mein
dil se salam karti hun us sha’era ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.