sab jaante hue bhi wo anjaan ban gaya
sab jānte hue bhī vo anjān ban gayā
dānā.iyāñ sameT ke nādān ban gayā
yuuñ to hazāroñ log the maujūd shahr meñ
us kā vajūd shahr kī pahchān ban gayā
kuchh is tarah se sar kiyā hai merī zaat ko
merī kitāb-e-zīst kā unvān ban gayā
zulm-o-sitam ke us kī zarā intihā to dekh
jo kuchh zabāñ se niklā vo farmān ban gayā
ab is jahāñ meñ rahnā bhī mumkin nahīñ rahā
āḳhir ko ye bhī jang kā maidān ban gayā
bārūd se na bach sakā vo ḳhud bhī ai 'nazar'
ye khel us kī maut kā sāmān ban gayā
sab jaante hue bhi wo anjaan ban gaya
danaiyan sameT ke nadan ban gaya
yun to hazaron log the maujud shahr mein
us ka wajud shahr ki pahchan ban gaya
kuchh is tarah se sar kiya hai meri zat ko
meri kitab-e-zist ka unwan ban gaya
zulm-o-sitam ke us ki zara intiha to dekh
jo kuchh zaban se nikla wo farman ban gaya
ab is jahan mein rahna bhi mumkin nahin raha
aaKHir ko ye bhi jang ka maidan ban gaya
barud se na bach saka wo KHud bhi ai 'nazar'
ye khel us ki maut ka saman ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.