sab jhuT hai is dasht mein jo kuchh bhi jahan hai
sab jhuT hai is dasht mein jo kuchh bhi jahan hai
Ghulam Mustafa Faraz
MORE BYGhulam Mustafa Faraz
sab jhuuT hai is dasht meñ jo kuchh bhī jahāñ hai
taptī huī retīlī zamīñ āb-e-ravāñ hai
ḳhud ban ke bigaḌ jaatā huuñ mañDlātī havā meñ
pahchān mirī hai na koī nām-o-nishāñ hai
taqsīm-e-javāhar ne tamāsha vo dikhāyā
tā-hadd-e-nazar zer-e-falak sirf dhuāñ hai
ye kaun sī bastī hai tah-e-ḳhāk-e-tamannā
har aañkh jahāñ nam hai har ik chehra dhuāñ hai
ik rang ki bikhrā hai dar-o-bām pe har-sū
ik gardish-e-hālāt ki āñkhoñ se 'ayāñ hai
haañ jis kī tajallī se har ik zarra hai raushan
vo aap pas-e-parda-e-aflāk nihāñ hai
sab jhuT hai is dasht mein jo kuchh bhi jahan hai
tapti hui retili zamin aab-e-rawan hai
KHud ban ke bigaD jata hun manDlati hawa mein
pahchan meri hai na koi nam-o-nishan hai
taqsim-e-jawahar ne tamasha wo dikhaya
ta-hadd-e-nazar zer-e-falak sirf dhuan hai
ye kaun si basti hai tah-e-KHak-e-tamanna
har aankh jahan nam hai har ek chehra dhuan hai
ek rang ki bikhra hai dar-o-baam pe har-su
ek gardish-e-haalat ki aankhon se 'ayan hai
han jis ki tajalli se har ek zarra hai raushan
wo aap pas-e-parda-e-aflak nihan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.