sab jit kar bhi mat se aage nahin gaya
sab jiit kar bhī maat se aage nahīñ gayā
vo shaḳhs merī zaat se aage nahīñ gayā
nā-mumkināt se hī thā āġhāz-e-zindagī
buzdil to mumkināt se aage nahīñ gayā
Thahrā hai vaqt aaj bhī bichhḌe the ham jahāñ
ik pal bhī ġham kī raat se aage nahīñ gayā
umroñ kā intizār vo jholī meñ Daal kar
do-chār pal ke saath se aage nahīñ gayā
ġham hijr kā hai yā use shauq-e-visāl hai
insāñ ġham-e-hayāt se aage nahīñ gayā
jitne lage haiñ zaḳhm mire dostoñ ke haiñ
dushman to sirf ghaat se aage nahīñ gayā
miTTī ke haath ishq kī miTTī palīd hai
tū bhī havas kī baat se aage nahīñ gayā
hāthoñ meñ haath Daal ke jaanā thā chāñd par
afsos chāñd-rāt se aage nahīñ gayā
maiñ duur se hī dekh ke ḳhush ho ga.ī use
aur vo bhī ḳhvāhishāt se aage nahīñ gayā
sab jit kar bhi mat se aage nahin gaya
wo shaKHs meri zat se aage nahin gaya
na-mumkinat se hi tha aaghaz-e-zindagi
buzdil to mumkinat se aage nahin gaya
Thahra hai waqt aaj bhi bichhDe the hum jahan
ek pal bhi gham ki raat se aage nahin gaya
umron ka intizar wo jholi mein Dal kar
do-chaar pal ke sath se aage nahin gaya
gham hijr ka hai ya use shauq-e-visal hai
insan gham-e-hayat se aage nahin gaya
jitne lage hain zaKHm mere doston ke hain
dushman to sirf ghat se aage nahin gaya
miTTi ke hath ishq ki miTTi palid hai
tu bhi hawas ki baat se aage nahin gaya
hathon mein hath Dal ke jaana tha chand par
afsos chand-raat se aage nahin gaya
main dur se hi dekh ke KHush ho gai use
aur wo bhi KHwahishat se aage nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.