sab jo karte hain wahi kar jaen kya
sab jo karte haiñ vahī kar jaa.eñ kyā
shahr hī meñ ghar koī banvā.eñ kyā
dostoñ se dushmanī karte nahīñ
dushmanoñ ko jā ke ye samjhā.eñ kyā
jaisā kal thā aaj vo vaisā nahīñ
dasht meñ majnūñ se milne jaa.eñ kyā
dil meñ jo bhī hai vo kah do saaf saaf
bak rahe ho aa.eñ baa.eñ shā.eñ kyā
bhūlnā 'ādat meñ shāmil aap kī
phir unhīñ bātoñ ko ham dohrā.eñ kyā
jitnā ham se ho sakā ham ne kiyā
zindagī tū hī batā mar jaa.eñ kyā
hai mohabbat aur muravvat chup jo haiñ
aap kī har baat ko Thukrā.eñ kyā
hai kahāñ tā'bīr kī sūrat koī
ḳhvāb hī bas dekhte rah jaa.eñ kyā
kuchh kaho ye chāhte haiñ log sab
tum ye kahte ho ki ham farmā.eñ kyā
sab jo karte hain wahi kar jaen kya
shahr hi mein ghar koi banwaen kya
doston se dushmani karte nahin
dushmanon ko ja ke ye samjhaen kya
jaisa kal tha aaj wo waisa nahin
dasht mein majnun se milne jaen kya
dil mein jo bhi hai wo kah do saf saf
bak rahe ho aaen baen shaen kya
bhulna 'adat mein shamil aap ki
phir unhin baaton ko hum dohraen kya
jitna hum se ho saka hum ne kiya
zindagi tu hi bata mar jaen kya
hai mohabbat aur murawwat chup jo hain
aap ki har baat ko Thukraen kya
hai kahan ta'bir ki surat koi
KHwab hi bas dekhte rah jaen kya
kuchh kaho ye chahte hain log sab
tum ye kahte ho ki hum farmaen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.