sab karobar-e-naqd-o-nazar chhoDna paDa
sab kārobār-e-naqd-o-nazar chhoḌnā paḌā
bikne lage qalam to hunar chhoḌnā paḌā
qurbānī māñgtī thī har ik shāḳh-e-be-samar
basne na paa.e the ki shajar chhoḌnā paḌā
karnā thā jo safar hameñ ham ne nahīñ kiyā
bachchoñ ko aaj is liye ghar chhoḌnā paḌā
aa to ga.e ho soch lo jāoge phir kahāñ
ye shahr-e-bad-lihāz agar chhoḌnā paḌā
ghar se chalā thā bār-e-saqāfat uThā ke maiñ
raste meñ thoḌā thoḌā magar chhoḌnā paḌā
nafrat ke saañp aa ga.e ghar tak to maiñ 'zahīr'
itnā Darā ki ḳhauf-e-safar chhoḌnā paḌā
sab karobar-e-naqd-o-nazar chhoDna paDa
bikne lage qalam to hunar chhoDna paDa
qurbani mangti thi har ek shaKH-e-be-samar
basne na pae the ki shajar chhoDna paDa
karna tha jo safar hamein hum ne nahin kiya
bachchon ko aaj is liye ghar chhoDna paDa
aa to gae ho soch lo jaoge phir kahan
ye shahr-e-bad-lihaz agar chhoDna paDa
ghar se chala tha bar-e-saqafat uTha ke main
raste mein thoDa thoDa magar chhoDna paDa
nafrat ke sanp aa gae ghar tak to main 'zahir'
itna Dara ki KHauf-e-safar chhoDna paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.