sab ke chehron pe shab-e-gham ki kasafat kya hai
sab ke chehroñ pe shab-e-ġham kī kasāfat kyā hai
aaj ke daur meñ ḳhvāboñ kī haqīqat kyā hai
aa.ine TuuT chuke haiñ to zabāñ se kah do
kyoñ chhupāte ho zamāne se himāqat kyā hai
vo zamīñ-bos hai is meñ hai sharārat kī numū
arsh vāloñ meñ magar aaj siyāsat kyā hai
dard kī tez havāoñ se guzarnā hai tumheñ
haa.e do-chār charāġhoñ kī rifāqat kyā hai
jin meñ ehsās kī ḳhushbū hī nahīñ hai 'mas.ūd'
aise ash.ār sunāne kī zarūrat kyā hai
sab ke chehron pe shab-e-gham ki kasafat kya hai
aaj ke daur mein KHwabon ki haqiqat kya hai
aaine TuT chuke hain to zaban se kah do
kyon chhupate ho zamane se himaqat kya hai
wo zamin-bos hai is mein hai shararat ki numu
arsh walon mein magar aaj siyasat kya hai
dard ki tez hawaon se guzarna hai tumhein
hae do-chaar charaghon ki rifaqat kya hai
jin mein ehsas ki KHushbu hi nahin hai 'masud'
aise ashaar sunane ki zarurat kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.