sab ke dukh mein shamil ho kar sab ka hona paDta hai
sab ke dukh meñ shāmil ho kar sab kā honā paḌtā hai
apnī hastī ko paane meñ ḳhud ko khonā paḌtā hai
uljhan ke sañg baiThe baiThe pahroñ ronā paḌtā hai
us kī chāhat dil meñ rakh ke us kā honā paḌtā hai
sāhil par hī baiThe baiThe socho chāhe jo lekin
sāgar se milne kī ḳhātir dariyā honā paḌtā hai
shohrat kī bahkī rāhoñ se tum bhī ghar aa jāoge
din Dhalte hī sūraj ko bhī jā kar sonā paḌtā hai
ham phūloñ se chehre vaale marham jaisī tabī.at hai
zaḳhmoñ kī ḳhātir to bhaa.ī nashtar honā paḌtā hai
sab ke dukh mein shamil ho kar sab ka hona paDta hai
apni hasti ko pane mein KHud ko khona paDta hai
uljhan ke sang baiThe baiThe pahron rona paDta hai
us ki chahat dil mein rakh ke us ka hona paDta hai
sahil par hi baiThe baiThe socho chahe jo lekin
sagar se milne ki KHatir dariya hona paDta hai
shohrat ki bahki rahon se tum bhi ghar aa jaoge
din Dhalte hi suraj ko bhi ja kar sona paDta hai
hum phulon se chehre wale marham jaisi tabiat hai
zaKHmon ki KHatir to bhai nashtar hona paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.