sab ke ghar mein ye charaghan nahin dekha jata
sab ke ghar meñ ye charāġhāñ nahīñ dekhā jaatā
juz tire koī bhī shādāñ nahīñ dekhā jaatā
kyā kaheñ ye ġham-e-daurāñ nahīñ dekhā jaatā
hijr kā chāñd farozāñ nahīñ dekhā jaatā
ham haiñ majnūñ ke parastār miyāñ ham se to
suunā suunā ye bayābāñ nahīñ dekhā jaatā
ham vafāoñ kā taqāza nahīñ karte us se
ham se vo shaḳhs pashemāñ nahīñ dekhā jaatā
maiñ to sābir huuñ kabhī uf nahīñ kartā lekin
yaar hamrāh-e-raqībāñ nahīñ dekhā jaatā
dil meñ raunaq to rahe tū na sahī aur sahī
ab to ḳhālī ye ḳhumistāñ nahīñ dekhā jaatā
aa tire haq meñ du'ā kar duuñ ai dushman mere
mujh se ab tū bhī pareshāñ nahīñ dekhā jaatā
shahr vaale to ye kah kah ke taras khāte haiñ
aisā barbād suḳhan-dāñ nahīñ dekhā jaatā
itnā tārīk hai ye daur hamārā 'hamza'
ab koī sāhib-e-‘irfāñ nahīñ dekhā jaatā
sab ke ghar mein ye charaghan nahin dekha jata
juz tere koi bhi shadan nahin dekha jata
kya kahen ye gham-e-dauran nahin dekha jata
hijr ka chand farozan nahin dekha jata
hum hain majnun ke parastar miyan hum se to
suna suna ye bayaban nahin dekha jata
hum wafaon ka taqaza nahin karte us se
hum se wo shaKHs pasheman nahin dekha jata
main to sabir hun kabhi uf nahin karta lekin
yar hamrah-e-raqiban nahin dekha jata
dil mein raunaq to rahe tu na sahi aur sahi
ab to KHali ye KHumistan nahin dekha jata
aa tere haq mein du'a kar dun ai dushman mere
mujh se ab tu bhi pareshan nahin dekha jata
shahr wale to ye kah kah ke taras khate hain
aisa barbaad suKHan-dan nahin dekha jata
itna tarik hai ye daur hamara 'hamza'
ab koi sahib-e-‘irfan nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.