sab ki aankhon mein raha karte the
sab kī āñkhoñ meñ rahā karte the
fard haiñ qaum huā karte the
ab ta.alluq meñ ġharaz hai shāmil
dost bachpan meñ huā karte the
rāste taal talaiyā Tiile
kitne rūmān huā karte the
us kā ḳhush honā bahut bhātā thā
ham nishāne ko ḳhatā karte the
ishq parvān vahāñ chaḌhtā thā
jahāñ aaseb rahā karte the
haath to ab bhī milāte haiñ log
dil magar pahle milā karte the
dast bardārī hameñ aatī thī
ham kahā maan liyā karte the
kar liyā ḳhud ko hī barbād āḳhir
vaqt barbād kiyā karte the
pahle āñkhoñ ko mayassar the aap
pahle ham sher kahā karte the
sab ki aankhon mein raha karte the
fard hain qaum hua karte the
ab talluq mein gharaz hai shamil
dost bachpan mein hua karte the
raste tal talaiya Tile
kitne ruman hua karte the
us ka KHush hona bahut bhata tha
hum nishane ko KHata karte the
ishq parwan wahan chaDhta tha
jahan aaseb raha karte the
hath to ab bhi milate hain log
dil magar pahle mila karte the
dast bardari hamein aati thi
hum kaha man liya karte the
kar liya KHud ko hi barbaad aaKHir
waqt barbaad kiya karte the
pahle aankhon ko mayassar the aap
pahle hum sher kaha karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.