sab ki apni apni baaten sab ki apni apni soch
sab ki apni apni baaten sab ki apni apni soch
Sayyed Riyaz Raheem
MORE BYSayyed Riyaz Raheem
sab kī apnī apnī bāteñ sab kī apnī apnī soch
duniyā ko to mahñgī paḌ ga.ī soch-samajh vāloñ kī soch
is se ziyāda apnī duniyā aur kahāñ tak badlegī
bachchoñ meñ bhī aa hī ga.ī hai būḌhe logoñ jaisī soch
'aql pe jin ko naaz bahut thā vo bhī dil ke saath hue
dhīre dhīre samajh ga.e sab kitnī hai harjā.ī soch
ham to apne ghar meñ ḳhush the ham ko kuchh mā'lūm na thā
apne ghar ko aag lagāne jangal se phir aa.ī soch
sab ki apni apni baaten sab ki apni apni soch
duniya ko to mahngi paD gai soch-samajh walon ki soch
is se ziyaada apni duniya aur kahan tak badlegi
bachchon mein bhi aa hi gai hai buDhe logon jaisi soch
'aql pe jin ko naz bahut tha wo bhi dil ke sath hue
dhire dhire samajh gae sab kitni hai harjai soch
hum to apne ghar mein KHush the hum ko kuchh ma'lum na tha
apne ghar ko aag lagane jangal se phir aai soch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.