sab ki nazron mein Khaar hain hum log
sab kī nazroñ meñ ḳhaar haiñ ham log
apnī hastī pe baar haiñ ham log
ġham kī daulat kā kyā Thikāna hai
ab bhī sarmāya-dār haiñ ham log
apne rone pe aap hañste haiñ
kaise bā-iḳhtiyār haiñ ham log
ab to manzil na koī naqsh-e-qadam
kārvāñ kā ġhubār haiñ ham log
ham se pūchho ki azm kyā shai hai
maut se ham-kanār haiñ ham log
ġham ke maare zarūr haiñ 'ahmad'
phir bhī ġham kā vaqār haiñ ham log
sab ki nazron mein KHar hain hum log
apni hasti pe bar hain hum log
gham ki daulat ka kya Thikana hai
ab bhi sarmaya-dar hain hum log
apne rone pe aap hanste hain
kaise ba-iKHtiyar hain hum log
ab to manzil na koi naqsh-e-qadam
karwan ka ghubar hain hum log
hum se puchho ki azm kya shai hai
maut se ham-kanar hain hum log
gham ke mare zarur hain 'ahmad'
phir bhi gham ka waqar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.