sab ki parda-dari se Dar lagta hai
sab kī parda-dārī se Dar lagtā hai
yaaro rasm-e-yārī se Dar lagtā hai
kis ne āḳhir royā terī mayyat pe
kis ko āh-o-zārī se Dar lagtā hai
kitnā mushkil hai ab kuchh bhī sah lenā
kitnā ab dushvārī se Dar lagtā hai
jis ne sab rishtoñ ko jāñchā parkhā ho
us ko rishta-dārī se Dar lagtā hai
mujh ko to ab yūñhī sote rahne do
mujh ko ab bedārī se Dar lagtā hai
kitne chehre kitne insāñ rakhte haiñ
logoñ kī makkārī se Dar lagtā hai
apne andar suunā suunā phirtā huuñ
apnī hī ġham-ḳhvārī se Dar lagtā hai
pahle bhī dil TuuTā hai merā lekin
ab ke dil-āzārī se Dar lagtā hai
sab ki parda-dari se Dar lagta hai
yaro rasm-e-yari se Dar lagta hai
kis ne aaKHir roya teri mayyat pe
kis ko aah-o-zari se Dar lagta hai
kitna mushkil hai ab kuchh bhi sah lena
kitna ab dushwari se Dar lagta hai
jis ne sab rishton ko jaancha parkha ho
us ko rishta-dari se Dar lagta hai
mujh ko to ab yunhi sote rahne do
mujh ko ab bedari se Dar lagta hai
kitne chehre kitne insan rakhte hain
logon ki makkari se Dar lagta hai
apne andar suna suna phirta hun
apni hi gham-KHwari se Dar lagta hai
pahle bhi dil TuTa hai mera lekin
ab ke dil-azari se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.