sab ki sunte hain hum apni baat bahut kam kahte hain
sab kī sunte haiñ ham apnī baat bahut kam kahte haiñ
ik tasvīr meñ har lamha ham kho.e kho.e rahte haiñ
rāz-e-mohabbat laakh chhupāyā faash magar ho kar hī rahā
ham to zabāñ se kuchh nahīñ kahte aañsū bahte rahte haiñ
jin kī ḳhātir duniyā bhar se ham ne naata toḌ liyā
vaqt paḌā to vo bhī ham ko begāna hī kahte haiñ
dukh denā āsān hai pyāre dukh sahnā āsān nahīñ
ye to hamārī hī himmat hai hañs hañs kar dukh sahte haiñ
is se baḌh kar aur qayāmat ai ġham-e-daurāñ kyā hogī
yaad bhī ab vo kam aate haiñ aañsū bhī kam bahte haiñ
sab ki sunte hain hum apni baat bahut kam kahte hain
ek taswir mein har lamha hum khoe khoe rahte hain
raaz-e-mohabbat lakh chhupaya fash magar ho kar hi raha
hum to zaban se kuchh nahin kahte aansu bahte rahte hain
jin ki KHatir duniya bhar se hum ne nata toD liya
waqt paDa to wo bhi hum ko begana hi kahte hain
dukh dena aasan hai pyare dukh sahna aasan nahin
ye to hamari hi himmat hai hans hans kar dukh sahte hain
is se baDh kar aur qayamat ai gham-e-dauran kya hogi
yaad bhi ab wo kam aate hain aansu bhi kam bahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.