sab ko hairan kar jaunga
sab ko hairāñ kar jā.ūñgā
vaqt se pahle mar jā.ūñgā
panchhī falak ko nikal ga.e haiñ
aur maiñ phir daftar jā.ūñgā
dariyāoñ ka dā'vā kab hai
do āñkheñ to bhar jā.ūñgā
aglī baar maiñ us se milne
ḳhud ko bhī le kar jā.ūñgā
ḳhuub hañsūñgā uupar uupar
andar andar Dar jā.ūñgā
ik din chhuTTī mil jā.egī
ik din maiñ bhī ghar jā.ūñgā
aap ko zahmat kuchh na.iñ hogī
maiñ chup-chāp bikhar jā.ūñgā
sab ko hairan kar jaunga
waqt se pahle mar jaunga
panchhi falak ko nikal gae hain
aur main phir daftar jaunga
dariyaon ka da'wa kab hai
do aankhen to bhar jaunga
agli bar main us se milne
KHud ko bhi le kar jaunga
KHub hansunga upar upar
andar andar Dar jaunga
ek din chhuTTi mil jaegi
ek din main bhi ghar jaunga
aap ko zahmat kuchh nain hogi
main chup-chap bikhar jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.