sab ko miT jaana hai taqwim-e-fana kya dekhun
sab ko miT jaana hai taqwim-e-fana kya dekhun
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi
MORE BYSyed Nawab Haider Naqvi Rahi
sab ko miT jaanā hai taqvīm-e-fanā kyā dekhūñ
zindagī kyuuñ na tirā husn-e-dil-ārā dekhūñ
dil-e-pur-ḳhūñ ko to mil jaa.e farāġh-e-ishrat
kab talak dard se us kā maiñ taḌaptā dekhūñ
maiñ ki huuñ kushta-e-naumīdī-e-jāved kabhī
apnī mauhūm ummīdoñ kā bar-ānā dekhūñ
zindagī koī ma.ānī koī matlab to ho
ye na ho qāfila-e-jāñ kā guzarnā dekhūñ
sub.h se shaam talak dhuup hī oḌhī maiñ ne
koī dam ab to maiñ bādal kā barasnā dekhūñ
yuuñ to tābānī-e-duniyā pe nazar ruktī nahīñ
ye na ho chehra-e-insāñ ko maiñ utrā dekhūñ
ġharq ho jā.ūñgā apne meñ vo dariyā maiñ huuñ
kab talak raahī samundar kā ishārā dekhūñ
sab ko miT jaana hai taqwim-e-fana kya dekhun
zindagi kyun na tera husn-e-dil-ara dekhun
dil-e-pur-KHun ko to mil jae faragh-e-ishrat
kab talak dard se us ka main taDapta dekhun
main ki hun kushta-e-naumidi-e-jawed kabhi
apni mauhum ummidon ka bar-ana dekhun
zindagi koi maani koi matlab to ho
ye na ho qafila-e-jaan ka guzarna dekhun
subh se sham talak dhup hi oDhi main ne
koi dam ab to main baadal ka barasna dekhun
yun to tabani-e-duniya pe nazar rukti nahin
ye na ho chehra-e-insan ko main utra dekhun
gharq ho jaunga apne mein wo dariya main hun
kab talak rahi samundar ka ishaara dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.