Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab kuchh bas kahne ko bhula jata hai

Dipak Prajapati Khaalis

sab kuchh bas kahne ko bhula jata hai

Dipak Prajapati Khaalis

MORE BYDipak Prajapati Khaalis

    sab kuchh bas kahne ko bhūlā jaatā hai

    varna zehn se kab vo chehra jaatā hai

    yaad barābar aatā rahtā hai vo shaḳhs

    nashshoñ paisa bhī zaa.e.a jaatā hai

    kuchh yuuñ TuuT ke girte haiñ āñkhoñ se ḳhvāb

    shīsha bhī hairānī meñ aa jaatā hai

    us hañstī tasvīr ko āḳhir kyā ma.alūm

    us ko dekh ke kitnā royā jaatā hai

    is darja ḳhāmosh rahā huuñ muddat se

    yaad nahīñ hai kaise bolā jaatā hai

    mujh ko ishq aur duniyā donoñ dekhne haiñ

    saanī khīñch bhī luuñ to uulā jaatā hai

    sab kuchh bas kahne ko bhula jata hai

    warna zehn se kab wo chehra jata hai

    yaad barabar aata rahta hai wo shaKHs

    nashshon ka paisa bhi zaea jata hai

    kuchh yun TuT ke girte hain aankhon se KHwab

    shisha bhi hairani mein aa jata hai

    us hansti taswir ko aaKHir kya malum

    us ko dekh ke kitna roya jata hai

    is darja KHamosh raha hun muddat se

    yaad nahin hai kaise bola jata hai

    mujh ko ishq aur duniya donon dekhne hain

    sani khinch bhi lun to ula jata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now