sab kuchh hai ayan phir bhi hai parda mere aage
sab kuchh hai ayaañ phir bhī hai parda mere aage
duniyā hai tirī ek karishma mire aage
maiñ pyaas kī shiddat kā falak chuum rahī huuñ
ghistā hai jabīñ ḳhaak pe dariyā mire aage
maiñ ḳhud ko lakīroñ meñ kahīñ DhūñD hī letī
muTThī vo kabhī khol to detā mere aage
jis samt bhī dekhūñ haiñ sarāboñ kī salībeñ
phailā hai ajab ret kā sahrā mere aage
tanqīd mirī un ke gunāhoñ pe nahīñ thī
ā.īna-e-a.amāl rakhā thā mire aage
nā-karda gunāhoñ kī sazā paa.ī hai 'nusrat'
insāf huā shahr meñ rusvā mere aage
sab kuchh hai ayan phir bhi hai parda mere aage
duniya hai teri ek karishma mere aage
main pyas ki shiddat ka falak chum rahi hun
ghista hai jabin KHak pe dariya mere aage
main KHud ko lakiron mein kahin DhunD hi leti
muTThi wo kabhi khol to deta mere aage
jis samt bhi dekhun hain sarabon ki saliben
phaila hai ajab ret ka sahra mere aage
tanqid meri un ke gunahon pe nahin thi
aaina-e-amal rakha tha mere aage
na-karda gunahon ki saza pai hai 'nusrat'
insaf hua shahr mein ruswa mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.