sab kuchh na kahin sog manane mein chala jae
sab kuchh na kahīñ sog manāne meñ chalā jaa.e
jī meñ hai kisī aur zamāne meñ chalā jaa.e
maiñ jis ke tilismāt se bāhar nikal aayā
ik roz usī ā.ina-ḳhāne meñ chalā jaa.e
jo mere liye aaj sadāqat kī tarah hai
vo ḳhvāb na gum ho ke fasāne meñ chalā jaa.e
sahmā huā aañsū ki sisaktā hai palak par
ab TuuT ke dāman ke ḳhazāne meñ chalā jaa.e
ik umr ke baad aayā hai jiine kā salīqa
dukh hogā agar jaan bachāne meñ chalā jaa.e
sab kuchh na kahin sog manane mein chala jae
ji mein hai kisi aur zamane mein chala jae
main jis ke tilismat se bahar nikal aaya
ek roz usi aaina-KHane mein chala jae
jo mere liye aaj sadaqat ki tarah hai
wo KHwab na gum ho ke fasane mein chala jae
sahma hua aansu ki sisakta hai palak par
ab TuT ke daman ke KHazane mein chala jae
ek umr ke baad aaya hai jine ka saliqa
dukh hoga agar jaan bachane mein chala jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.