sab kuchh sipurd-e-dasht-e-bala kar diya gaya
sab kuchh sipurd-e-dasht-e-balā kar diyā gayā
ai sākinān-e-shahr ye kyā kar diyā gayā
josh-e-junūñ ko harf-e-sadā kar diyā gayā
ham pe jo qarz thā vo adā kar diyā gayā
phir yuuñ huā ki ham ne dil-o-jāñ luTā diye
vā'da kisī se thā so vafā kar diyā gayā
is marg-e-nā-gahāñ pe parinde haiñ sogvār
manzar se kyoñ shajar ko judā kar diyā gayā
jab dasht-e-be-kanār meñ ḳheme lagā liye
phir āñdhiy.oñ ko merī sazā kar diyā gayā
jab ham ne saañs saañs kā tāvān de diyā
ham par dar-e-hayāt bhī vā kar diyā gayā
sab kuchh sipurd-e-dasht-e-bala kar diya gaya
ai sakinan-e-shahr ye kya kar diya gaya
josh-e-junun ko harf-e-sada kar diya gaya
hum pe jo qarz tha wo ada kar diya gaya
phir yun hua ki hum ne dil-o-jaan luTa diye
wa'da kisi se tha so wafa kar diya gaya
is marg-e-na-gahan pe parinde hain sogwar
manzar se kyon shajar ko juda kar diya gaya
jab dasht-e-be-kanar mein KHeme laga liye
phir aandhiyon ko meri saza kar diya gaya
jab hum ne sans sans ka tawan de diya
hum par dar-e-hayat bhi wa kar diya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.