sab log hans rahe hain ke ulTa pahan liya
sab log hañs rahe haiñ ke ulTā pahan liyā
māñ-bāp is pe ḳhush haiñ ki juutā pahan liyā
maiñ ne vo din bhī dekhe ho achchhā agar libās
kuchh yaar pūchhte the ye kis kā pahan liyā
āñkhoñ se bahtā chashma dikhā.ī na de tumheñ
ye soch kar hī āñkhoñ pe chashma pahan liyā
hairat ye hai ki us ko nazar is liye lagī
yaaro libās us ne ne jo kaalā pahan liyā
izzat utaar dī ga.ī jab ik sharīf kī
majbūr ho ke us ne bhī ġhussa pahan liyā
'bedil' tumhārī tarz pe 'gauhar' ne dekhiye
kaise pahan liyā ko dobāra pahan liyā
sab log hans rahe hain ke ulTa pahan liya
man-bap is pe KHush hain ki juta pahan liya
main ne wo din bhi dekhe ho achchha agar libas
kuchh yar puchhte the ye kis ka pahan liya
aankhon se bahta chashma dikhai na de tumhein
ye soch kar hi aankhon pe chashma pahan liya
hairat ye hai ki us ko nazar is liye lagi
yaro libas us ne ne jo kala pahan liya
izzat utar di gai jab ek sharif ki
majbur ho ke us ne bhi ghussa pahan liya
'bedil' tumhaari tarz pe 'gauhar' ne dekhiye
kaise pahan liya ko dobara pahan liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.