sab madari hain tamasha bhi hai koi koi
sab madārī haiñ tamāshā bhī hai koī koī
ab unheñ dekhne vaalā bhī hai koī koī
merī ḳhāmoshī ko tanhā.ī samajhne vaalo
mahfil-e-dil meñ to aatā bhī hai koī koī
surḳh miTTī meñ gire aañsū bane haiñ motī
ḳhaak se DhūñDh ke laatā bhī hai koī koī
hañste hañste hue aañsū bhī nikal aate haiñ
rote rote hue hañstā bhī hai koī koī
chhoḌ jaatā hai to jaa.e ye hujūm-e-duniyā
majma.a-e-ġhair se aayā bhī hai koī koī
'mīr' to miir hai sāhab to nahīñ hai sāhab
'mīr' ke daur meñ saudā bhī hai koī koī
terī duniyā meñ mirā zikr rahegā 'manzar'
sūrat-e-sher meñ dekhā bhī hai koī koī
sab madari hain tamasha bhi hai koi koi
ab unhen dekhne wala bhi hai koi koi
meri KHamoshi ko tanhai samajhne walo
mahfil-e-dil mein to aata bhi hai koi koi
surKH miTTi mein gire aansu bane hain moti
KHak se DhunDh ke lata bhi hai koi koi
hanste hanste hue aansu bhi nikal aate hain
rote rote hue hansta bhi hai koi koi
chhoD jata hai to jae ye hujum-e-duniya
majma-e-ghair se aaya bhi hai koi koi
'mir' to mir hai sahab to nahin hai sahab
'mir' ke daur mein sauda bhi hai koi koi
teri duniya mein mera zikr rahega 'manzar'
surat-e-sher mein dekha bhi hai koi koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.