sab mujhe DhunD rahe hain main chhupa jata hun
sab mujhe DhūñD rahe haiñ maiñ chhupā jaatā huuñ
apne hī jism meñ ab dafn huā jaatā huuñ
chashm-e-bīnā mujhe dāman meñ chhupā le aa kar
aaj bāzār meñ be-mol bikā jaatā huuñ
baḌhte baḌhte kabhī ik dā.era ban baiThā thā
ghaTte ghaTte maiñ faqat nuqta rahā jaatā huuñ
is tarah vaqt ne ulTī hai bisāt-e-hastī
ab maiñ duniyā kī samajh meñ bhī to aa jaatā huuñ
ek tinke se bhī kamtar hai 'azīz' apnā vajūd
vaqt kī tez havāoñ meñ uḌā jaatā huuñ
sab mujhe DhunD rahe hain main chhupa jata hun
apne hi jism mein ab dafn hua jata hun
chashm-e-bina mujhe daman mein chhupa le aa kar
aaj bazar mein be-mol bika jata hun
baDhte baDhte kabhi ek daera ban baiTha tha
ghaTte ghaTte main faqat nuqta raha jata hun
is tarah waqt ne ulTi hai bisat-e-hasti
ab main duniya ki samajh mein bhi to aa jata hun
ek tinke se bhi kamtar hai 'aziz' apna wajud
waqt ki tez hawaon mein uDa jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.