sab mujhe kahte hain bahra ye zamane wale
sab mujhe kahte haiñ bahrā ye zamāne vaale
jabki ḳhud gūñge the āvāz lagāne vaale
merī qīmat na lagā paayā ḳharīdār koī
bik ga.e ḳhud mujhe bāzār meñ laane vaale
ye zamāna bhī zamāna to vahī hai lekin
bas yahāñ log nahīñ haiñ vo purāne vaale
kis bharose pe 'adālat meñ bhalā jaa.e koī
ḳhud hī mujrim hoñ jab insāf dilāne vaale
shāyad is vāste maiñ tum ko nahīñ bhuul sakā
yaad rahte haiñ mujhe mujh ko bhulāne vaale
dostī un se rahī merī samundar kī tarah
koshisheñ karte rahe aag lagāne vaale
aaj vo log mire zaḳhm kā marham haiñ 'naqī'
kal talak mujh pe the talvār chalāne vaale
sab mujhe kahte hain bahra ye zamane wale
jabki KHud gunge the aawaz lagane wale
meri qimat na laga paya KHaridar koi
bik gae KHud mujhe bazar mein lane wale
ye zamana bhi zamana to wahi hai lekin
bas yahan log nahin hain wo purane wale
kis bharose pe 'adalat mein bhala jae koi
KHud hi mujrim hon jab insaf dilane wale
shayad is waste main tum ko nahin bhul saka
yaad rahte hain mujhe mujh ko bhulane wale
dosti un se rahi meri samundar ki tarah
koshishen karte rahe aag lagane wale
aaj wo log mere zaKHm ka marham hain 'naqi'
kal talak mujh pe the talwar chalane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.