sab purana hai phir naya kya hai
sab purānā hai phir nayā kyā hai
bas ye dekheñ ki kaam kā kyā hai
sirf jalne kī aa rahī hai bū
ye to jāneñ ki jal rahā kyā hai
ik 'ajab be-hisī meñ simTī hai
apnī duniyā tujhe huā kyā hai
tai kiyā ham ne ik tavīl safar
ibtidā hai ye intihā kyā hai
har koī DhūñDhtā hī phirtā hai
sab kā duniyā meñ kho gayā kyā hai
kaam kiije to baat bantī hai
naam hotā hai naam kā kyā hai
āsmāñ kah rahā hai apnī baat
ai zamīñ terā tajraba kyā hai
merī duniyā tujhe ḳhabar bhī hai
ahl-e-dil kā mutālba kyā hai
kitnī sadiyoñ se sah rahī hai 'azāb
har na.ī nasl kī ḳhatā kyā hai
sab purana hai phir naya kya hai
bas ye dekhen ki kaam ka kya hai
sirf jalne ki aa rahi hai bu
ye to jaanen ki jal raha kya hai
ek 'ajab be-hisi mein simTi hai
apni duniya tujhe hua kya hai
tai kiya hum ne ek tawil safar
ibtida hai ye intiha kya hai
har koi DhunDhta hi phirta hai
sab ka duniya mein kho gaya kya hai
kaam kije to baat banti hai
nam hota hai nam ka kya hai
aasman kah raha hai apni baat
ai zamin tera tajraba kya hai
meri duniya tujhe KHabar bhi hai
ahl-e-dil ka mutalba kya hai
kitni sadiyon se sah rahi hai 'azab
har nai nasl ki KHata kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.