sab rang wahi Dhang wahi naz wahi the
sab rañg vahī Dhañg vahī naaz vahī the
is baar to mausam ke sab andāz vahī the
bas ijz kī ḳhushbū kī jagah kibr kī bū thī
lahje meñ zarā farq thā alfāz vahī the
kyā jāniye kyuuñ ab ke mire dil meñ na utre
sur le vahī āvāz vahī saaz vahī the
jo nañg-e-ḳhalā.iq the jo dushman the vatan ke
sīnoñ pe sajā.e hue e.azāz vahī the
jibrīl se aage ga.e jo nūr-sarāpā
shahbāz vahī hāsil-e-parvāz vahī the
sab rang wahi Dhang wahi naz wahi the
is bar to mausam ke sab andaz wahi the
bas ijz ki KHushbu ki jagah kibr ki bu thi
lahje mein zara farq tha alfaz wahi the
kya jaaniye kyun ab ke mere dil mein na utre
sur le wahi aawaz wahi saz wahi the
jo nang-e-KHalaiq the jo dushman the watan ke
sinon pe sajae hue eazaz wahi the
jibril se aage gae jo nur-sarapa
shahbaz wahi hasil-e-parwaz wahi the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.