sab sahifon ko taq par rakh do
sab sahīfoñ ko taaq par rakh do
jī nahīñ māntā magar rakh do
ashk jī khol kar bahā luuñ maiñ
haath āñkhoñ pe tum agar rakh do
jis meñ māhaul hī na ho ghar kā
ek kone meñ aisā ghar rakh do
tum ko rone kī jab jagah na mile
mere shāne pe apnā sar rakh do
soch ik bojh hai mire dil par
is ko le kar idhar udhar rakh do
haal hī aa ke pūchh lo merā
ek marham sā ghaav par rakh do
kashtiyāñ ā.eñgī idhar kuchh aur
merī naav meñ sab bhañvar rakh do
tajrabe apnī ziist ke 'rāhat'
ek gaThrī meñ bāñdh kar rakh do
sab sahifon ko taq par rakh do
ji nahin manta magar rakh do
ashk ji khol kar baha lun main
hath aankhon pe tum agar rakh do
jis mein mahaul hi na ho ghar ka
ek kone mein aisa ghar rakh do
tum ko rone ki jab jagah na mile
mere shane pe apna sar rakh do
soch ek bojh hai mere dil par
is ko le kar idhar udhar rakh do
haal hi aa ke puchh lo mera
ek marham sa ghaw par rakh do
kashtiyan aaengi idhar kuchh aur
meri naw mein sab bhanwar rakh do
tajrabe apni zist ke 'rahat'
ek gaThri mein bandh kar rakh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.