sab samajhte hain ki fankar nashe mein dhut hai
sab samajhte haiñ ki fankār nashe meñ dhut hai
jo nibhānā hai vo kirdār nashe meñ dhut hai
ham ko har roz diye jaate haiñ jaise bhāshan
saaf lagtā hai ki sardār nashe meñ dhut hai
maiñ ne thāmā hai use apne sahāre ke liye
log samjhe haiñ ki dīvār nashe meñ dhut hai
pārsā.ī tirī ruḳhsat kī ghaḌī aa pahuñchī
chāñdnī shab hai mirā yaar nashe meñ dhut hai
dekhnā ye hai ki pul paar karegā kaise
ek jannat kā talabgār nashe meñ dhut hai
‘ishq-zādī ko maiñ bechūñgā milan ke sapne
baaġh hai sabz ḳharīdār nashe meñ dhut hai
us ko bachpan se faqat dard milā hai sab se
vo jo din raat lagātār nashe meñ dhut hai
pūchhte haiñ ye luḌhakte hue patthar 'sājid'
baat phailī hai ki kohsār nashe meñ dhut hai
sab samajhte hain ki fankar nashe mein dhut hai
jo nibhana hai wo kirdar nashe mein dhut hai
hum ko har roz diye jate hain jaise bhashan
saf lagta hai ki sardar nashe mein dhut hai
main ne thama hai use apne sahaare ke liye
log samjhe hain ki diwar nashe mein dhut hai
parsai teri ruKHsat ki ghaDi aa pahunchi
chandni shab hai mera yar nashe mein dhut hai
dekhna ye hai ki pul par karega kaise
ek jannat ka talabgar nashe mein dhut hai
‘ishq-zadi ko main bechunga milan ke sapne
bagh hai sabz KHaridar nashe mein dhut hai
us ko bachpan se faqat dard mila hai sab se
wo jo din raat lagatar nashe mein dhut hai
puchhte hain ye luDhakte hue patthar 'sajid'
baat phaili hai ki kohsar nashe mein dhut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.