sab se itna na main juda hota
sab se itnā na maiñ judā hotā
kaash thoḌā paḌhā-likhā hotā
merī vahshat hī us ko le Duubī
maiñ na hotā to nā-ḳhudā hotā
ishq meñ kuchh na kuchh kiyā sab ne
kuchh na hotā to kuchh judā hotā
maiñ na hotā magar mire hamdam
koī mujh sā to aap kā hotā
raat ke Dhaa.ī baj chuke 'sohil'
koī lamha to raat sā hotā
maiñ jahāñ ḳhush huuñ jis tarah ḳhush huuñ
koī hotā to mar gayā hotā
kaun 'sohil' ḳhudā ḳhudā chillā.e
vo jo hotā to jā-ba-jā hotā
sab se itna na main juda hota
kash thoDa paDha-likha hota
meri wahshat hi us ko le Dubi
main na hota to na-KHuda hota
ishq mein kuchh na kuchh kiya sab ne
kuchh na hota to kuchh juda hota
main na hota magar mere hamdam
koi mujh sa to aap ka hota
raat ke Dhai baj chuke 'sohil'
koi lamha to raat sa hota
main jahan KHush hun jis tarah KHush hun
koi hota to mar gaya hota
kaun 'sohil' KHuda KHuda chillae
wo jo hota to ja-ba-ja hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.