sab se juda aur sab se alag meri teri aawaz
sab se judā aur sab se alag merī terī āvāz
tū pur-shor samundar meñ sūkhī jaltī āvāz
koī bhūlā bhaTkā bādal kah baiThe labbaik
āḳhir kab tak ḳhālī jaa.e miTTī kī āvāz
aadhe raste hī meñ sūraj kar detā hai ḳhaak
jab bhī kabhī ākāsh ko detī hai dhartī āvāz
zehnoñ meñ jab sannāToñ kā barpā ho kohrām
phir kaise sun paa.e koī kaan paḌī āvāz
dil ke manzar-gāh meñ 'rahmānī' ḳhvāhish be-rañg
gumbad sī qismat meñ juuñ gūñgī bahrī āvāz
sab se juda aur sab se alag meri teri aawaz
tu pur-shor samundar mein sukhi jalti aawaz
koi bhula bhaTka baadal kah baiThe labbaik
aaKHir kab tak KHali jae miTTi ki aawaz
aadhe raste hi mein suraj kar deta hai KHak
jab bhi kabhi aakash ko deti hai dharti aawaz
zehnon mein jab sannaTon ka barpa ho kohram
phir kaise sun pae koi kan paDi aawaz
dil ke manzar-gah mein 'rahmani' KHwahish be-rang
gumbad si qismat mein jun gungi bahri aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.