Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab se pyara hai pyar ka rishta

Sada Ambalvi

sab se pyara hai pyar ka rishta

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    sab se pyārā hai pyaar rishta

    jaan se jāñ-nisār rishta

    ham se rishta huzūr vo rakhiye

    jo gale se hai haar rishta

    aarzū ne tirī nibhāyā hai

    'umr-bhar intizār rishta

    jis tasdīq dil bhī kartā ho

    hai vahī e'tibār rishta

    gul ḳhizāoñ meñ saath chhoḌ ga.e

    gul se achchhā thā ḳhaar rishta

    ham jise dostī samajh baiThe

    thā faqat kārobār rishta

    sab manzil judā judā niklī

    sab se thā rahguzār rishta

    dekhiye kitne roz nibhtā hai

    ham se is gul-‘izār rishta

    jism ruuh se rahī an-ban

    thā chalo ek baar rishta

    ahl-e-haq ko rahe ḳhayāl 'sadā'

    ḳhaas hai haq se daar rishta

    sab se pyara hai pyar ka rishta

    jaan se jaan-nisar ka rishta

    hum se rishta huzur wo rakhiye

    jo gale se hai haar ka rishta

    aarzu ne teri nibhaya hai

    'umr-bhar intizar ka rishta

    jis ki tasdiq dil bhi karta ho

    hai wahi e'tibar ka rishta

    gul KHizaon mein sath chhoD gae

    gul se achchha tha KHar ka rishta

    hum jise dosti samajh baiThe

    tha faqat karobar ka rishta

    sab ki manzil juda juda nikli

    sab se tha rahguzar ka rishta

    dekhiye kitne roz nibhta hai

    hum se is gul-‘izar ka rishta

    jism ki ruh se rahi an-ban

    tha chalo ek bar ka rishta

    ahl-e-haq ko rahe KHayal 'sada'

    KHas hai haq se dar ka rishta

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now