sab sharik-e-sadma-o-azar kuchh yunhi se hain
sab sharīk-e-sadma-o-āzār kuchh yūñhī se haiñ
yaar kuchh yūñhī se haiñ ġham-ḳhvār kuchh yūñhī se haiñ
un ke sab afa.āl sab atvār kuchh yūñhī se haiñ
qaul kuchh yūñhī se haiñ iqrār kuchh yūñhī se haiñ
apne dīvāne se mil liije usī meñ ḳhair hai
aap abhī rusvā sar-e-bāzār kuchh yūñhī se haiñ
jis jagah dekho nasīhat ke liye maujūd haiñ
hazrat-e-nāseh ḳhudā.ī-ḳhvār kuchh yūñhī se haiñ
dast-e-vahshat ne garebāñ kā safāyā kar diyā
jeb ke parde meñ thoḌe taar kuchh yūñhī se haiñ
un ke aane kī ḳhabar sun kar uḌā dī hai ḳhabar
varna 'muztar' vāqa.ī bīmār kuchh yūñhī se haiñ
sab sharik-e-sadma-o-azar kuchh yunhi se hain
yar kuchh yunhi se hain gham-KHwar kuchh yunhi se hain
un ke sab afaal sab atwar kuchh yunhi se hain
qaul kuchh yunhi se hain iqrar kuchh yunhi se hain
apne diwane se mil lije usi mein KHair hai
aap abhi ruswa sar-e-bazar kuchh yunhi se hain
jis jagah dekho nasihat ke liye maujud hain
hazrat-e-naseh KHudai-KHwar kuchh yunhi se hain
dast-e-wahshat ne gareban ka safaya kar diya
jeb ke parde mein thoDe tar kuchh yunhi se hain
un ke aane ki KHabar sun kar uDa di hai KHabar
warna 'muztar' waqai bimar kuchh yunhi se hain
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 301)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.