sab shauq-o-tamanna se ye aazad rahega
sab shauq-o-tamanna se ye āzād rahegā
dil dard kī rā'nā.ī se ābād rahegā
shabnam kī jagah aable tāroñ kā lahū rang
duniyā kā 'ajab haal tire baa'd rahegā
jānāñ mujhe is baat kā Dar hai ke tire baa'd
kaun is dil-e-barbād kī fariyād rahegā
āñkhoñ meñ nazar ā.eñge zaḳhmoñ ke jazīre
ham ko tire jaane kā sabab yaad rahegā
ham to tire e'zāz meñ rūTheñge jahāñ se
tū aur kisī vaj.h se nāshād rahegā
sab shauq-o-tamanna se ye aazad rahega
dil dard ki ra'nai se aabaad rahega
shabnam ki jagah aable taron ka lahu rang
duniya ka 'ajab haal tere ba'd rahega
jaanan mujhe is baat ka Dar hai ke tere ba'd
kaun is dil-e-barbaad ki fariyaad rahega
aankhon mein nazar aaenge zaKHmon ke jazire
hum ko tere jaane ka sabab yaad rahega
hum to tere e'zaz mein ruThenge jahan se
tu aur kisi wajh se nashad rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.