sab tafraqe aapas ke miTa kyon nahin dete
sab tafraqe aapas ke miTā kyoñ nahīñ dete
nafrat kī ye dīvār girā kyoñ nahīñ dete
haq jiine kā duniyā meñ sabhī ko hai barābar
har ek ko jiine kī duā kyoñ nahīñ dete
rah rah ke chhalak paḌte haiñ in āñkhoñ se aañsū
tum dil se mirī yaad miTā kyoñ nahīñ dete
jo dil meñ utar jaatī hai ik tiir kī sūrat
yā-rab mujhe vo ḳhaas adā kyoñ nahīñ dete
tanqīd to karte ho mire tarz-e-amal par
jiine ke tum andāz sikhā kyoñ nahīñ dete
jis se hameñ hāsil ho masarrat bhī sukūñ bhī
ai murshid-e-pāk aisī duā kyoñ nahīñ dete
ai 'shāz' ta.assub kā miTe jis se añdherā
tum pyaar kī vo sham.a jalā kyoñ nahīñ dete
sab tafraqe aapas ke miTa kyon nahin dete
nafrat ki ye diwar gira kyon nahin dete
haq jine ka duniya mein sabhi ko hai barabar
har ek ko jine ki dua kyon nahin dete
rah rah ke chhalak paDte hain in aankhon se aansu
tum dil se meri yaad miTa kyon nahin dete
jo dil mein utar jati hai ek tir ki surat
ya-rab mujhe wo KHas ada kyon nahin dete
tanqid to karte ho mere tarz-e-amal par
jine ke tum andaz sikha kyon nahin dete
jis se hamein hasil ho masarrat bhi sukun bhi
ai murshid-e-pak aisi dua kyon nahin dete
ai 'shaz' tassub ka miTe jis se andhera
tum pyar ki wo shama jala kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.