sab the manzur-e-nazar ek main ruswa tha faqat
sab the manzūr-e-nazar ek maiñ rusvā thā faqat
the tamāshā.ī sabhī maiñ hī tamāshā thā faqat
sāmne hadd-e-nazar tak mire sahrā thā faqat
aur ye nazzāra hī jiine kā sahārā thā faqat
us kī daulat kī tamannā mirī dushman niklī
mere qabze meñ mohabbat kā ḳhazāna thā faqat
aisā mahsūs huā jaise ki tū aayā thā
dar-haqīqat tire saa.e kā bhī saayā thā faqat
maiñ ye samjhā thā haiñ aflāk mirī muTThī meñ
qabr bolī ki tū ik ḳhaak kā putlā thā faqat
rutba saaqī kā thā tere hī to dam se 'jāved'
ek tū hī to bharī bazm meñ pyāsā thā faqat
sab the manzur-e-nazar ek main ruswa tha faqat
the tamashai sabhi main hi tamasha tha faqat
samne hadd-e-nazar tak mere sahra tha faqat
aur ye nazzara hi jine ka sahaara tha faqat
us ki daulat ki tamanna meri dushman nikli
mere qabze mein mohabbat ka KHazana tha faqat
aisa mahsus hua jaise ki tu aaya tha
dar-haqiqat tere sae ka bhi saya tha faqat
main ye samjha tha hain aflak meri muTThi mein
qabr boli ki tu ek KHak ka putla tha faqat
rutba saqi ka tha tere hi to dam se 'jawed'
ek tu hi to bhari bazm mein pyasa tha faqat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.