sab un ka haal dekh rahe hain nazar se hum
sab un kā haal dekh rahe haiñ nazar se ham
baiThe haiñ is tarah se ki haiñ be-ḳhabar se ham
himmat se kaam le ke nigāheñ milā to leñ
uljhan meñ paḌ ga.e haiñ payām-e-nazar se ham
uḌne lagā hai phailtā jaatā hai har taraf
is dāman-e-ḳhayāl ko pakḌeñ kidhar se ham
dikhlā diyā jo aaj muqaddar ne us kā dar
ik bojh thā utaar chale apne sar se ham
dil meñ utar na aa.eñ vo āñkhoñ kī raah se
dil ko bachā rahe haiñ ḳhud apnī nazar se ham
rāheñ bhī band haiñ dar-e-taqdīr bhī hai band
us ke harīm-e-nāz meñ jaa.eñ kidhar se ham
haiñ aur kyā irāde tumheñ is kī fikr kyoñ
'ejāz' pūchh leñge usī fitna-gar se ham
sab un ka haal dekh rahe hain nazar se hum
baiThe hain is tarah se ki hain be-KHabar se hum
himmat se kaam le ke nigahen mila to len
uljhan mein paD gae hain payam-e-nazar se hum
uDne laga hai phailta jata hai har taraf
is daman-e-KHayal ko pakDen kidhar se hum
dikhla diya jo aaj muqaddar ne us ka dar
ek bojh tha utar chale apne sar se hum
dil mein utar na aaen wo aankhon ki rah se
dil ko bacha rahe hain KHud apni nazar se hum
rahen bhi band hain dar-e-taqdir bhi hai band
us ke harim-e-naz mein jaen kidhar se hum
hain aur kya irade tumhein is ki fikr kyon
'ejaz' puchh lenge usi fitna-gar se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.