sab yaqin bech kar sab guman bech kar
sab yaqīñ bech kar sab gumāñ bech kar
maiñ tavañgar huuñ sūd-o-ziyāñ bech kar
jhaḌ ga.e merī shāḳhoñ se barg-o-samar
phir bahāreñ ḳharīdīñ ḳhizāñ bech kar
ik nayā āshiyāna banā.ūñgā maiñ
bar-lab-e-maikadā ik makāñ bech kar
sab bikegā yahāñ bekasī ke sivā
maiñ abhī aa rahā huuñ zabāñ bech kar
apne bachchoñ kī rozī kamātā rahā
vo adālat meñ apnā bayāñ bech kar
mujh kasāfat-zada ne gulistān meñ
ik nayā ghar liyā titliyāñ bech kar
muflisī ruuh kī ab bhī pahle sī hai
kyā kamāyā dil-e-naġhma-ḳhvāñ bech kar
'ābdī' chup rahā maslahat ke sabab
kaun ḳhush hai yahāñ āstāñ bech kar
sab yaqin bech kar sab guman bech kar
main tawangar hun sud-o-ziyan bech kar
jhaD gae meri shaKHon se barg-o-samar
phir bahaaren KHaridin KHizan bech kar
ek naya aashiyana banaunga main
bar-lab-e-maikada ek makan bech kar
sab bikega yahan bekasi ke siwa
main abhi aa raha hun zaban bech kar
apne bachchon ki rozi kamata raha
wo adalat mein apna bayan bech kar
mujh kasafat-zada ne gulistan mein
ek naya ghar liya titliyan bech kar
muflisi ruh ki ab bhi pahle si hai
kya kamaya dil-e-naghma-KHwan bech kar
'abdi' chup raha maslahat ke sabab
kaun KHush hai yahan aastan bech kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.