sab ye baaten kahan samajhte hain
sab ye bāteñ kahāñ samajhte haiñ
dard kī ham zabāñ samajhte haiñ
kārobārī nahīñ haiñ sab lekin
apnā sūd-o-ziyāñ samajhte haiñ
jānte haiñ ki kyoñ uThā lañgar
kyoñ khulā bādbāñ samajhte haiñ
un se mil kar bhī vo milā hī nahīñ
jo use be-zabāñ samajhte haiñ
kaun kaisā hai kis kī nazroñ meñ
log ye sab kahāñ samajhte haiñ
ab hamārī zabāñ na khulvāo
saarī bāteñ miyāñ samajhte haiñ
daad denā to ik alag fan hai
sher ham bhī kahāñ samajhte haiñ
khel hai vo mire liye 'nazmī'
sab jise imtihāñ samajhte haiñ
sab ye baaten kahan samajhte hain
dard ki hum zaban samajhte hain
karobari nahin hain sab lekin
apna sud-o-ziyan samajhte hain
jaante hain ki kyon uTha langar
kyon khula baadban samajhte hain
un se mil kar bhi wo mila hi nahin
jo use be-zaban samajhte hain
kaun kaisa hai kis ki nazron mein
log ye sab kahan samajhte hain
ab hamari zaban na khulwao
sari baaten miyan samajhte hain
dad dena to ek alag fan hai
sher hum bhi kahan samajhte hain
khel hai wo mere liye 'nazmi'
sab jise imtihan samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.