sab ye kahte hain ki apne rahbar mein kya na tha
sab ye kahte haiñ ki apne rāhbar meñ kyā na thā
maiñ ye kahtā huuñ ki taqdīr-e-bashar meñ kyā na thā
phir vahī vahshī uḌāneñ phir vahī vahshī havā
kab talak ye sochtā maiñ bāl-o-par meñ kyā na thā
ghar meñ rah kar sochtā rahtā thā kyā hai kā.enāt
ghar ke bāhar sochtā ye huuñ ki ghar meñ kyā na thā
do qadam jo saath chaltā hai to kah detā huuñ maiñ
raah meñ jo chhuT gayā us ham-safar meñ kyā na thā
sab ye kahte hain ki apne rahbar mein kya na tha
main ye kahta hun ki taqdir-e-bashar mein kya na tha
phir wahi wahshi uDanen phir wahi wahshi hawa
kab talak ye sochta main baal-o-par mein kya na tha
ghar mein rah kar sochta rahta tha kya hai kaenat
ghar ke bahar sochta ye hun ki ghar mein kya na tha
do qadam jo sath chalta hai to kah deta hun main
rah mein jo chhuT gaya us ham-safar mein kya na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.