saba ashkon se daman dho rahi hai
sabā ashkoñ se dāman dho rahī hai
udāsī baal khole so rahī hai
ḳhamoshī naġhma-e-rūh-e-talab hai
sadā ḳhud saaz meñ gum ho rahī hai
laboñ par yūñhī halkā sā tabassum
nigāhoñ se shikāyat ho rahī hai
hamīñ se sab ne pahchānā hai un ko
unheñ ham se shikāyat go rahī hai
tijārat diin o zar īmāñ hai is kā
hayāt-e-nau basīrat kho rahī hai
ugeñgī ab ke zahr-ālūd fasleñ
havā zehnoñ meñ nafrat bo rahī hai
sajā deñ zulf ashkoñ kī laḌī se
udāsī baal khole so rahī hai
saba ashkon se daman dho rahi hai
udasi baal khole so rahi hai
KHamoshi naghma-e-ruh-e-talab hai
sada KHud saz mein gum ho rahi hai
labon par yunhi halka sa tabassum
nigahon se shikayat ho rahi hai
hamin se sab ne pahchana hai un ko
unhen hum se shikayat go rahi hai
tijarat din o zar iman hai is ka
hayat-e-nau basirat kho rahi hai
ugengi ab ke zahr-alud faslen
hawa zehnon mein nafrat bo rahi hai
saja den zulf ashkon ki laDi se
udasi baal khole so rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.