saba kahiyo zabani meri Tuk us sarw-qamat ko
sabā kahiyo zabānī merī Tuk us sarv-qāmat ko
ki jab se dil liyā aa.e na phir sāhib-salāmat ko
mire rone ko sun kar yuuñ lagā jhuñjhlā ke vo kahne
miyāñ ye jaan khānā hai uThā do is malāmat ko
jo milnā hai to aa jaao gale se lag ke so rahiye
nahīñ to kaam kyā aaoge ai sāhab qayāmat ko
uThā.e sau tarah ke zulm aur jaur-o-jafā tere
kahā shābāsh bhī tū ne na merī istaqāmat ko
huā maiñ ḳhaak ai 'āsif' na pahuñchā is ke dāmāñ tak
liye jā.ūñgā saath apne adam tak is nadāmat ko
saba kahiyo zabani meri Tuk us sarw-qamat ko
ki jab se dil liya aae na phir sahib-salamat ko
mere rone ko sun kar yun laga jhunjhla ke wo kahne
miyan ye jaan khana hai uTha do is malamat ko
jo milna hai to aa jao gale se lag ke so rahiye
nahin to kaam kya aaoge ai sahab qayamat ko
uThae sau tarah ke zulm aur jaur-o-jafa tere
kaha shabash bhi tu ne na meri istaqamat ko
hua main KHak ai 'asif' na pahuncha is ke daman tak
liye jaunga sath apne adam tak is nadamat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.