sabab bane jo meri KHushi ka to main usi ka
sabab bane jo mirī ḳhushī kā to maiñ usī kā
yā koī paikar ho sādgī kā to maiñ usī kā
sharāb-o-sāqī ye jām-o-mīnā nahīñ zarūrī
jo aañkh de lutf mai-kashī kā to maiñ usī kā
na hai taḳhayyul na hai taġhazzul mire suḳhan meñ
ho fikr-o-fan jis meñ shā'irī kā to maiñ usī kā
yahāñ to sab ke haiñ ham-piyāla-o-ham-nivāla
abhī talak jo nahīñ kisī kā to maiñ usī kā
baḌā hai qad aap kā maiñ adnā mu'āf kiije
milegā koī barābarī kā to maiñ usī kā
anā ke ghar se nikal ke bāhar mirī taraf jo
baḌhā.egā haath dostī kā to maiñ usī kā
udāsiyoñ ke haiñ ghup añdhere 'anīs' dil meñ
darīcha khole jo raushnī kā to maiñ usī kā
sabab bane jo meri KHushi ka to main usi ka
ya koi paikar ho sadgi ka to main usi ka
sharab-o-saqi ye jam-o-mina nahin zaruri
jo aankh de lutf mai-kashi ka to main usi ka
na hai taKHayyul na hai taghazzul mere suKHan mein
ho fikr-o-fan jis mein sha'iri ka to main usi ka
yahan to sab ke hain ham-piyala-o-ham-niwala
abhi talak jo nahin kisi ka to main usi ka
baDa hai qad aap ka main adna mu'af kije
milega koi barabari ka to main usi ka
ana ke ghar se nikal ke bahar meri taraf jo
baDhaega hath dosti ka to main usi ka
udasiyon ke hain ghup andhere 'anis' dil mein
daricha khole jo raushni ka to main usi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.