sabab kuchh be-KHudi ka aaj ho sab par ayan apna
sabab kuchh be-ḳhudī kā aaj ho sab par ayaañ apnā
sunāyā hai mohabbat ne hameñ dard-e-nihāñ apnā
abas haiñ sarhadoñ ke taḳht ke tājoñ ke ye jhagḌe
zamīñ apnī nahīñ hai nā rahā ye āsmāñ apnā
mukaddar hai fazā tere jahāñ kī mohtaram insāñ
basāyā hai kitāboñ meñ hasīñ dilkash jahāñ apnā
pashemāñ ho hī jā.eñge alāmat kī zabāñ vaale
rulā.egā kisī din jab unheñ rang-e-bayāñ apnā
ki taqsīm-e-azal par ham to shākir haiñ yahāñ 'suġhrā'
ḳhudāyā rahmateñ terī gunāh-e-be-amāñ apnā
sabab kuchh be-KHudi ka aaj ho sab par ayan apna
sunaya hai mohabbat ne hamein dard-e-nihan apna
abas hain sarhadon ke taKHt ke tajon ke ye jhagDe
zamin apni nahin hai na raha ye aasman apna
mukaddar hai faza tere jahan ki mohtaram insan
basaya hai kitabon mein hasin dilkash jahan apna
pasheman ho hi jaenge alamat ki zaban wale
rulaega kisi din jab unhen rang-e-bayan apna
ki taqsim-e-azal par hum to shakir hain yahan 'sughra'
KHudaya rahmaten teri gunah-e-be-aman apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.